Sunday 29 June 2014

Kya yeh Jeevan Hai ?






Maine Suna hai kai baar
Kehte hai ye log baar-baar
Zindagi main hai dukh hazaar
Har taraf udasi ati hai nazaar
Kya yeh jeevan hai?

Hote hai kai khun paiso ke khatir
Dharm ke naam pe hote hai dange-phasad
Bhuke-nange bacche phirte hai dar-dar
Dekte rehte hai unke mata-pita hokar lachar
Kya yeh jeevan hai?

Padhe-Likhe ko nahi milti naukri
Isliye karne lagte hai chori
Kisi ke mukh par muskan nahi hoti
Hai yeh aadmi bada hi swarthi
Kya yeh jeevan hai?

Maine suna ek baar
Keh rahi thi aasman ki pari pukar
Jeevan toh hai bhagwan ka ashirwad
Dharti ke log yu na karo ise barbaad
Yeh Jeevan hai

Jeevan ke hai rang hazaar
Dukh se kabhi mano na haar
Bathja sabko pyaar
Har taraph khushi ke phool ayenge nazaar
Yeh Jeevan hai

Ek aisa jahan banoa
Jaha pyaar ka sagar hamesha lehraye
Shanti ki hawaye hamesha chale
Khushiyo ka phool hamesha meheke
Ekta ka asmaan hamesha rahe
Yeh Jeevan hai.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.